merī chāhat kī bahut lambī sazā do mujh ko --NIKHAT IFTIKHAR


merī chāhat kī bahut lambī sazā do mujh ko 

karb-e-tanhā.ī meñ jiine kī duā do mujh ko 

fan tumhārā to kisī aur se mansūb huā 

koī merī hī ġhazal aa kar sunā do mujh ko 

haal behāl hai tārīk hai mustaqbil bhī 

ban paḌe tum se to maazī mirā lā do mujh ko 

āḳhirī sham.a huuñ maiñ bazm-e-vafā kī logo 

chāhe jalne do mujhe chāhe bujhā do mujh ko 

ḳhud ko rakh ke maiñ kahīñ bhuul ga.ī huuñ shāyad 

tum mirī zaat se ek baar milā do mujh ko

-NIKHAT IFTIKHAR

Comments

Popular posts from this blog

Music Distribution क्या है? Music Distribution कैसे किया जाता है? Free और Paid Music Distribution Platforms की पूरी जानकारी

गैस की कमी में खाना बनाने के 20+ स्मार्ट तरीके | Complete Guide for Smart Cooking Article Ambika Rahee

प्रधानमंत्री विश्वकर्मा योजना (PM Vishwakarma Yojana) – पूरा प्रोसेस, ट्रेनिंग, टूल्स और फायदे