Ya toh miT jaaiye ya miTa dijiye- – Wajida Tabassum

Ya toh miT jaaiye ya miTa dijiye,
kijiye jab bhi sauda khara kijiye.
Ab jafa kijiye ya wafa kijiye,
aakhari waqt hai bas dua kijiye.

Apne chehre se zulfen hata dijiye,
aur phir chaand ka saamana kijiye.

Har taraf phool hi phool khil jayenge,
aap aise hi hanste raha kijiye.

Aap ki ye hansi jaise ghoongharu baje
aur qayaamat hai kya ye bata dijiye. !!

– Wajida Tabassum

Comments

Popular posts from this blog

Music Distribution क्या है? Music Distribution कैसे किया जाता है? Free और Paid Music Distribution Platforms की पूरी जानकारी

गैस की कमी में खाना बनाने के 20+ स्मार्ट तरीके | Complete Guide for Smart Cooking Article Ambika Rahee

प्रधानमंत्री विश्वकर्मा योजना (PM Vishwakarma Yojana) – पूरा प्रोसेस, ट्रेनिंग, टूल्स और फायदे